Main is Liye Bhi Apni Khwahishaat Ko Tarq Kr

Main is Liye Bhi Apni Khwahishaat Ko Tarq Kr Deta Hon 

WASI

Mujhey Aksar Wo Nhi Milta Jo Meri Khwahish Ban Jaye.

Meri ?CHAHAT? Ka Is Tarha Mazaaq Na Bana,,

Meri ?CHAHAT? Ka Is Tarha Mazaaq Na Bana,,

Wasi

K Teri Aankhein Hi Taras Jaye Mujhe Dekhne k liye.

kon kehta hai shararat se tumein dekhtey hain

kon kehta hai shararat se tumein dekhtey hain
jaan e man ham to mohabbat se tumhein dekhtey hain

tum ko maaloom nahi tum ho muqaddas kitney
dekhtey hain to aqeedat se tumhein dekhtey hain

dekh ke tum ko kissi aor ki yad aati hai
ham kissi aor hi nisbat se tumhein dekhtey hain

sath ghairon ke nazar aao to gi kuRhta hai
kya kahein kaisi aziyyat se tumhein dekhtey hain

jhonkni paRti hai ye jaan azaabon mai hamein
kon kehta hai sahoolat se tumhein dekhtey hain

jaaney kya likhtey ho kya sochtey rehtey ho wasi
raat ko jab bhi kabhi chatt se tumhein dekhtey hain

Fuluk pay chand kay haaly bhe sogh kurty hen


Fuluk pay chand kay haaly bhe sogh kurty hen
Jo tou nahi tu ojaaly bhe sogh kurty hen

Tomhary Hath ki chori bhe bain kurti hey
Humary honth kay naaly bhe sogh kurty hen

Nughur Nughur bekhry hen Zolm kay Munzur
Humari Rooh kay chaaly bhe sogh kurty hen

Ossy kaho kay Sittum meah koch kumi kur day
Kay zolm torny walay bhe Sogh kurty hen

Tom apny dokh pay akaly nahi ho Afsordah
Tomary chahany waaly bhe Sogh kurty hen

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar ??

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum

Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum

Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum

Jo us ke samne mera yeh haal aa jaye

Jo us ke samne mera yeh haal aa jaye,
To dukh se aur bhi us par jamal aa jaye,

Mera khayal bhi ghunghru pehen ke nachey ga,
Agar khayal ko tera khayal aa jaye,

Har ek shaam naye khawab is pe garrhain ge,
Hamare hath agar teri shaal aa jaye,

Unhi dinon woh mere sath chaye peeta tha,
Kahin se kaash mera pichla saal aa jaye,

Main apne gham ke khazaney kahan chupaon ga,
Agar kahin se koi aur maal aa jaye,

Har aik baar naye dhang se sajayen tujhe,
Hamare hath jo phoolon ki dhaal aa jaye,

Yeh doobta hua suraj theher na jaye Wasi,
Agar woh saamne waqt-e-zawaal aa jaye..

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...
Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...
Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...
Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...
Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...
Shaid wo mere haal pe be-sakhata roo dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...
Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...
Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna..

Tre Gale Mein Jo Banhon Ko Daal Rakhte Hain

Tre Gale Mein Jo Banhon Ko Daal Rakhte Hain
Tujhe Manane Ka Kaisa Kamal Rakhte Hain

Tujhe Khabar Hay Tujhe Sochne kI khatir
Bahot Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakhte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte
Tumhare  Naam Ka Sikka Uchhaal Rakhte Hain

Tumhare Ba'ad Ye Aadat Si Ho Gayi Apni
bikharte Sookhte Patte Sanbhaal Rakhte Hain

Khushi Si Milti Hay Khud ko Aziyyaten De Kar
So Jaan Boojh K Dil Ko Nidhaal Rakhte Hain

Kabhi Kabhi Wo Mujhe Hans K Dekh Lete Hain
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayaal Rakhte Hain

Tumhare Hijr Main Ye Haal ho Gaya Apna
Kisi Ka Khat Ho Usse Bhi Sanbhaal Rakhte Hain

Khushi Mile Tou Tere Ba'ad Khush Nahi Hote
Hum Apni Aankh Mein Her Dam Malaal Rakhte Hain

Zamane Bhar Se Chhupa Kar Wo Apne Aanchal Mein
Mere Wujood K Tukre Sanbhaal Rakhte Hain

Kuchh Iss Liye Bhi Tou Behaal ho Gaye Hum Log
Tumhari Yaad Ka Behad Khayaal Rakhte Hain


                       Wasi Shah

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta'alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

                           
                                WasiShah

tum meri ankh k tewar na bhula paoge

tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga

isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga

sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga

ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga

shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga

aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga

hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga

is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga